Har walidain chahte hain ke un ke bache ko achha ustaad mile. Lekin aksar tutor sirf kisi ke kehne par rakh liya jata hai, aur baad mein pata chalta hai ke bacha seekh hi nahi raha. Neeche diye gaye tareeqe se aap sahi faisla kar sakte hain.
1. Pehle pehchan check karein
Tutor ka CNIC aur degree zaroor dekhein. TutorNear par har teacher ka CNIC aur degree check hota hai, phir hi us ke profile par Verified ka nishan lagta hai.
2. Subject aur class ka tajurba
Jo teacher Matric ko achha parhata hai, zaroori nahi ke woh O Level bhi achha parhaye. Poochein ke unhon ne pehle kis class aur kis board ke bachon ko parhaya hai.
3. Pehle demo class
Foran mahine ki fees na dein. Pehle ek demo class lein aur dekhein ke bacha samajh raha hai ya nahi, aur sawal poochne mein jhijhak to nahi.
4. Fees aur waqt saaf tay karein
Mahine ki fees, hafte mein kitne din, aur chhutti ki surat mein kya hoga, yeh sab pehle tay kar lein.
5. Test aur progress
Achha ustaad har kuch hafte baad test leta hai aur walidain ko batata hai ke bacha kahan behtar hua aur kahan mehnat chahiye.
Ghar, academy ya online?
Home tuition mein poori tawajju milti hai magar kharcha zyada hota hai. Academy sasti hoti hai aur regular practice ke liye achhi hai. Online class mein aap kisi bhi shehar ka behtareen teacher chun sakte hain.
TutorNear par aap apne shehar ke verified teachers, un ki fees aur doosre walidain ke reviews dekh kar demo class book kar sakte hain.
Need a good teacher?
Find verified tutors near you and book a demo class.